Total Pageviews

Wednesday, May 10, 2006

haan main darrti hun!

Andhere ko nigaahon se rooh mein bharti hun,
Sawera ho na jaae, aankhon me roshni girne se darrti hun!
Palakon ko jhukaye rakha hai yuhi kabse
Teri surat na nazar aa jaae kisi ko, darrti hun!

Khuda se khud hi ke liye maanga tha ek khwab kabhi maine
Aaj wahi khwab dekhne se darrti hun!
Hasraton ki gulaami karta tha ye dil kabhi
Ab to iss dil ki dhadkano ko sunne se darrti hun!

Nahi samjha apne jazbaaton ko waqt rehte is dil ne,
Mehsoos unhi jazbaaton ko karne se ab darrti hun!
Sawalon ke jawaab dhoondhane mein kahi kho jaaongi main
Tabhi to un sawaalon ko samajhne se bhi daarti hun!


Jindagi jeene ke liye pyaar karna jaruri hai,
Jee nahi sakti ab, pyar karne se jo darrti hun!
In khayalon se ubharna mushkil hai bahot,
In khayalon ke bina jeene se magar darrti hun!


Friday, May 05, 2006

........!




kuch chupe huye jazbaaton ki chaav mein jindagi bitaane chale hain,
dard ke darakhton ke saaye mein ham pale hain,
na jaane aur kitne zakhm likhe hain in lakiron mein,
yaad bhi nahi aata ki kitni baar gir kar sambhale hain...

ye raatein kaali, faili huyi hain raahon mein,
dhundh se lipati huyi, darr se simati huyi,
wo chali jaa rahi hai jindagi meri,
door dooor tak nahi dikhayi deta koi nigahon mein...

yun to saath koi kabhi nahi tha phir bhi mazma laga rehta tha,
koi shayad mujhse na kahe kuch bhi, par kuch kehta rehta tha!
chodd aaye hain un mehfilo ki gooonj ko kahi raah mein,
sunayi deti hain to sirf khudki hichkiyaan apni hi aaah mein...!!