Samay chalta jaata hai apni raftar se,
din mahine saal gujar jate hain kataar se,
na jane tham jaati hai kyun ye jindagi?
kuch lamho se kuch maukon se ubhar nahi paati,
unhi me kho kar na jane kyun wahin ruk jaati hai ye jindagi?
Bhulaana nahi chahte kyunki yaadein bahot khubsurat hain,
par kuch toote khwabo ko bhula kyun nahi paati ye jindagi?
Unse judaa huye barso beet gae hain ham dono apni nayi raah par chal diye hain,
na jaane ab kyun nayi manzil paana nahi chahti ye jindagi?
kasmakash me rehne ki dil ko aadat si ho gayi hai, apne dil ko behlane ki hame fitrat si ho gayi hai,
na jane dhadkano ki baat kyun sunna chahti hai ye jindagi?
mujhse muh modke naate saare todke,
unhi yaado ko samet kar, na jaane ab kis jahan me jana chahti hai ye jindagi?
1 comment:
Post a Comment