Total Pageviews

Thursday, June 22, 2006

tumse pyar karne lage hain..

Na jaane kya kashish hai tumhari baaton mein,
Jo gunjati hai tumhari awaaz in andheri raaton mein,
Kuch to hai jo hamare beech badh raha hai,
Ye faasla dheere dheere ab ghat raha hai!

Dhadkano ki tez awaaz se ghabraane lage hain
Jab bhi tumhare yaadon me kho jaane lage hain!
Chadaron ki silwaton ko dekhkar sharmane lage hain
Tanhai ki raaton mein aap yaad aane lage hain!

Aaaine mein khud ko dekhna chahte hain har ghadi,
Tumhari aankho ko jabse apni aankhon mein paane lage hain!
Armaano ki jaise koi kadi hai chal padi
Tere aane ka intezaar har ghadi jabse karne lage hai!

Lagta hai khudse jaada tumhari fikr karta hai dil
shayad ab khudse jaada pyar tumse karne lage hain!

Tuesday, June 20, 2006

tumko na bhool paaenge!

Kehna aasan hai ki bhool gaye hain tumko
yaadon ko mitana aasaan nahi hai
ek pal jindagi ka beeta na hoga
jis pal mein tumhara nishaan nahi hain!

Jab bhi dekha kisi ko nighaahen uthakar
tera chehra aankhon se hata hi na paaye
dekhle na teri surat koi in mein
isliye palke jhukakar hi aansu bahaye!

mohobbat ka gham is mohobbat se kam hai
teri mohobbat se ubhare na ham hain,
saanso ka to na jaanu, par dhadkane madham hain
kuch hi palo ke liye is seene mein ab dam hai!!