Total Pageviews

Tuesday, September 26, 2006

Baarishon ke mausam me...!






















Barishon ke mausam mein bheeg jaane ko jee chahta hai,
Tere ishq ki boondon ko samet kar un me doob jaane ko jee chahta hai!
Un masti bhari aankhon ke saaye mein simat jaane ko
Un khuli baahon ke intezaar mein lipat jaane ko, jee chahta hai!

Khayalo ke aaine mein dekhu tujhe raat din,
Teri parchaiyon mein khud ko mita dene ko jee chahta hai!
Kuch ek lamhe jo tere saath gujare is dil ne,
Un chand lamho mein jindagi beetane ko jee chahta hai!

Hansi aati hai sochte hain jab ki yuhi dil de bethe tumhe,
Har pal wahi khata phir karne ko jee chahta hai!
Dard e dil mila pyar karne ki sazaa mili hame,
Phir bhi us dard ko har din badhane ko jee chahta hai!

Raatein kaati hain ab to chand ko dekhkar,
Us chandni mein tujhe bhigo dene ko jee chahta hai!
Is bheege mausam mein teri saanson ki aag mein
Aaj jal hi jaane ko jee chahta hai,
In andheri raaton mein teri aankhon ki raushni mein
Aaj panaah paane ko jee chahta hai....!

Monday, September 18, 2006

koi keh de unhe ki hame unse mohobbat hai!

Kuch lamho mein jindagi yun badal jaati hai,
apni dhadkano ke taar kisi ke sath jod jaati hai!
Chahat ka izhaar kar na paye to kya,
ye chahat is dil par asar to chod jaati hai!

Nazdeek rehkar bhi jab door rehte hain wo,
nigahon se jazbaat apne kehte hain wo,
ham tham nahi paate dhadkano ki raftaar,
na jaane kaise apne dil ko thame rehte hain wo!

Unki parchaai bhi chu nahi pate hain ham,
khwabon mein phir bhi unhe kareeb paate hain ham,
dhadkano ki awaaz jab gunjati hain charo taraf,
uth jaate hain neend se, phir khud ko akela paatein hain ham!

Ye samajhna mushkil nahi hai ki ye ishq ki bekarari hai,
par mushkil unhe is baat ko samajhana hai ki ye unki hi jaadugari hai,
lab khulte hain dil ka haal bayan karne ke liye
par khud ko chup chaap paatein hain jab unhe saamne paate hain!

Koi jaakar bata de unhe ki kitni mohobbat hai hame unse,
unhe to ehsaas bhi nahi ki mohobbat kehte hain kise!