Us chehre ki yaadon ko bhulana chaha hamne,
Hamari yaadon ko mitaane na diya hamare gamne,
aankho mein basi surat ko chashme ki tarah nikal na sake,
apne tasaavur se apne bichade huye yaar ki tasveer hata na sake.
Itne uljhe rahe yaadon ki gutthiyon mein ham,
apni jindagi ke sawaalon ko suljha na sake,
darrte rahe apni majburiyon se yuhin ham
apne aanchal mein in majburiyon ko chupa na sake.
Koste rahe tumhari yaadon ko jab khud se na lad paaye ham,
socha tumhare sahare na sahi yaadon ke sahare jee jaaye ham,
par kya ye aasaan hai, jeena yuhin tumhare bina?
Namumkin sa lagta hai ab bhi hame jeena tumhare bina...
Muskurati yaadein bhi aankhen nam kar deti hain,
khushi ke mahaul mein khushi kam kar deti hain,
gam bhari yaadein to sirf hame rulati hi rahi hain,
khushnuma lamho ki yaadein to khushiyon se dur karti rahi hain...
Kaise na yaad kare koi tumhe,
kaise koi jeena chahe tumhare bina,
har lamha hamne jeeya hai un yaadon ko jeekar,
har saans lee hai hamne tumhe apna jaankar...
koi kisise itni mohobbat na kare,
apni mohobbat par koi itna fakra na kare,
dil dhoondta reh jaaye apne aap ko kahi,
koi kisise mein kho jaane ki jurrat na kare.
Dard dilo ko kareeb le aata hai,
dur jaane se wahi dil katrata hai,
jo dard dilo ko jodta hai,
dil tutne par dilo ko wahi todta hai.
seh pata wo nahi jafa ki fitarate,
chupa leta hai khudme khudki nafrate,
jo dastaan ishq ki mukammal na ho sake,
kisi darakht ko kabhi jo paani na mil sake,
kisi ke dam se dunia jab gam se bhari ho,
kisi ke daman mein jab khushiya naa bhari ho,
yeh yaadein hi tab jeene deti hain usko,
yeh yaadein hi tab jindagi ban jaati hai uski.