Total Pageviews

Thursday, December 06, 2007

teri mohobbat ko ek salam

khushi na milti jindagi mein
koi gam bhi jindagi mein shamil na hota
hansi labo par aa na paati
koi aansu in aankhon mein na rota
najare jhuki hi rehti hamesha
aankho mein intezaar na hota
tumhari mohobbat jo na milti jindagi mein
to is khudaai par hame aetbaar na hota...

darrte rehte har mod par ham,
tumhe thame rehne ka jo ehsaas na hota,
girte rehte har thokar par ham,
tumhare sambhaalne par jo vishwaas na hota,
manjilo ko tay na kar paate ham,
jo in raahon par tumhara sath na hota.

kati patang si udi ja rahi thi khule aasman mein,
kya hota jo tumne ye hath thama na hota,
hasraton ko hamari anjaam mil hi na pata,
jo tumne apne khwabon ko mere sath joda na hota,
sach kahun to ye jindagi jindagi na hoti,
jo tumhare sath hamara naata bandha na hota.....

Tuesday, September 18, 2007

Wo sabhi haseen baatein yaad aati hain ab!

Khushi doondhne chale har gali har mod par ham,
Khudi ko bhulte chale is raah par chalke ham,
Apni hasti ko banane ki chah mein,
Apne chahne walon ko peeche chodke chale ham!

Dunia dushman thi hamari hasraton ki,
Hamare sapno ko todne mein koi kasar chodi nahi,
Ham bhi chot khate rahe,
Chahate magar apni chodi nahi!

Kuch ehsaas hua ki apni chah mein,
apni khushi mita rahein hain ham,
Khushiyon ko paane ki chaahat mein,
khudko gam pahocha rahe hain ham!

Par un tammannaon ki baarish mein khud ko bhigo chuke the,
un hasraton ke daaman mein khud ko chupa chuke the,
dunia ki hansi, dunia ke taane, dunia ki thokre maayne rakhti thi tab,
doston ki yaari, yaar ki mohobbat, yaad aati hai ab!
Wo sabhi haseen baatein yaad aati hain ab!

Wednesday, May 09, 2007

Yakeen

Har ummeed jo najar aayee thi,
Hamne us ummeed se najar churaayi thi,
Khwabo mein sanjoya tha dil ke jazbaaton ko,
Har jazbaat se magar hamne thokar khayi thi.

Kai raatein kaati thi hamne jaagkar
Tumhare liye kai raatein aansuon se bhigoyi thi,
Tumhe yakeen hampar kabhi tha hi nahi,
Hamne bewafai par yakeen kar apni wafa khoyi thi.

Aaj ilzaam hai hampar ki ham ishq nibha na sake
tumhari nayi mohobbat par aansu baha na sake,
apne liye hi hamne chun li hai nayi manzile,
tumhare raaste se gujarkar bhi sath nibha na sake.

Shayad tum samjh hi na paaye kya chahte the ham,
Tumhari khushi hi to thi jise chahte the ham,
Kismat ko na manjur thi hamari aashiqui,
Bina maange hi mil gaya hamari wajah se tumhe ye gam.

Aaj jindagi ek naye mod par aayi hai
Ham dono ko do kinaaron par chod aayi hai,
In kinaro ka Milan hona ab namumkin hai,
yakeen karlo to yehi ki yahi naseeb ab apna yakeen hai!

Wednesday, January 17, 2007

Tumhari aadat jo ho gayi hai!

In viran raahon mein tumhare sath ki aadat jo ho gayi hai
Ab tanhaiyon se darr lagta, tumhare sath ki chahat jo ho gayi hai!

Akele chalna pareshan kabhi na karta tha,
Par hamsafar ke saaye ki kami ka ehsaas khalta tha,
Jabse tum hamsaaye ki tarah saath chalne lage ho,
Anjaan hote huye bhi apne se lagne lage ho!

Tumhari ek muskaan ke aage jhukne lage hain,
Tumhare liye in hoton par muskaan rakhne lage hain,
Hamara gham tumhe utna hi dard deta hai,
Ye jaankar khud apne gham ko apne se door rakhne lage hain!

Tumhari baaton mein kuch chupe huye ishaare hain shayad
Hamari aankhon mein un ishaaro ka jawaab chupa hai,
Hamari dhadkane bhi kuch kehti hai shaayad,
Par ham nahi jaante ki tumhare dil mein hamare liye kya jazbaat chupa hai!

In jazbaaton ko koi ilzaam nahi dena chahte hain aaj
In ummedon ko koi anjaam nahi dena chahte hain aaj,
Rukna chahte hain us ke ek ishaare ke liye,
Dil ki raah par akele nahi chalna chahte hain aaj!